Baarish ki pehli lahar, kuch lamhe yaad aaye
Woh jawani ke jazbe woh pal yaad aaye
Jab barish mein bheeg jaane nikal padte hum
Bheege badan thand mein sikad jaate hum
Tab nukkad ke thele par garam chaai peete
Kuch hansi mazaak chalta
kuch pyar bhari baatein karte
Aisa hi rumaanvi tha woh mausam
Har barish ki aahat yaad dilaataa woh mausam
Aaj phir aayi hai woh barish ki fuhaar
Dil ne phir kiya aagaaz , phir ki pukar
Yaad kar tumhe aankh se nikal aati hai boond
Par baarish ka paani bahaa le jaati woh boond.
Jab kabhi us kuchein se guzar jaata hoon main
Chai ke thele pe jaroor ruk jaata hoon main
Kaash tum bhi kabhi is jagah se gujarogi
Isi khayaal se dil ko behlaata hoon main